It is one of my favourite nazm by famous poet FIRAQ GORAKHPURI .I am posting it to my friend. Hope it will be liked.
Bada karam hai ye mujhpar, abhi yahan se na jaao
Bahut udaas hai ye ghar, abhi yahan se na jaao;
Tum aa gaye to shab-e-gham ke puchh gaye aansu
Yahan na tha koi din-bhar, abhi yahan se na jaao;
Abhi to aaye ho dekha nahi hai jebhar ke
Ye aarzoo hai ki uthkar, abhi yahan se na jaao;
Hue ho mujhse juda jab zara tavakkuf se
Sambhal gaya hun main aksar, abhi yahan se na jao;
[tavakkuf = late]
Hamari aankon se chun lo ki phir kisi damon
Na mil sakenge ye gauhar, abhi yahan se na jaao;
[damon = price] [gauhar = pearl]
Wo aarzuein jo vabasta tumse hain unko
Chale ho chorke kis par, abhi yahan se na jaao;
[vabasta = related]
Vafure-gham se jinhe neend aa gayi thi kabhi
Wo yaadein jaag uthi sokar, abhi yahan se na jaao;
[vafure-gham = excess of sadness]
Ruke raho nigahe-neem-ba se kuch main bhi
Bana lun apna muqaddar, abhi yahan se na jaao;
[nigahe-neem-ba = half-closed eyes] [muqaddar = luck]
Tumhare paas ye andaza ho raha hai mujhe
Ki mera haal hai behtar, abhi yahan se na jaao;
Abhi to soye chiragon ne aankh kholi hai
Abhi to jaagte hain ghar, abhi yahan se na jaao;
Ruko-ruko ki padi hai abhi to raat tamaam
Bahut udaas hai manzar, abhi yahan se na jaao;
[manzar = scene]
Ye dil chiraag jale se tumhe, jahan bhi raho
Pukarta hai barabar, abhi yahan se na jaao;
Hamari raat chali jaayegi tumhare saath
Hamari raat ko lekar, abhi yahan se na jaao;
Bahut ruke meri khatir ye sochta hun ki ab
Kahun main tum se kyonkar, abhi yahan se na jaao।
Ye dil chiraag jale se tumhe, jahan bhi raho
Pukarta hai barabar, abhi yahan se na jaao;
Hamari raat chali jaayegi tumhare saath,
Hamari raat ko lekar, abhi yahan se na jaao।